Thursday, 27 March 2014

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum
Meri tanhaiyon Kay sawalon ka jawab ho tum
Ab to duniya bhi roth jaye to gum na hoga
Meri duniya, kayinaat mera Chaand ho tum


Khuahishain to rah gain khuahishaat main

Khuahishain to rah gain khuahishaat main
Dill tawazzan hi kho baitha Ishq main



Hum na kahtay thay wakt zaalim hay

Hum na kahtay thay wakt zaalim hay
Deikh lo khuab ho gaye tum bhi 



Mujh ko dhoka day gaya mera hi zooq-e-intikhaab

Mujh ko dhoka day gaya mera hi zooq-e-intikhaab
Darr haqiqqat log jo achay na thay, achay lagay


Gham-e-Zindagi

Gham-e-Zindagi, gham-e-banddagi, gham-e-do jahan, gham-e-karvaan
Meri har nazar teri muntazir, teri har nazar mera imtihaan


Chaand say dosti

Chaand say dosti, raat bhar jagna asmaan par kisi akks ko dhondna
Din main bhi raat ka samma bandhna, apna hay in dino bas yahi mushghala


Saaye ki trah mitt ti jati hay

Saaye ki trah mitt ti jati hay
Teri nafrat, meri mohabbat bhi
Ab to kuch bhi nahi raha dill main
Pehlay afsos bhi tha, hairat bhi


Wednesday, 26 March 2014

Un ki nighah main koi jadoo zaroor tha

Un ki nighah main koi jadoo zaroor tha
Jis par bhi pari usi kay jigar main utar gai


Tuesday, 25 March 2014

Our zamannat wafa ki kia hogi

Our zamannat wafa ki kia hogi
Tum meri saans garvi rakh lo na 


Kuch es Adda say sunana hal-e-dill hamara usay

Kuch es Adda say sunana hal-e-dill hamara usay
Wo khud hi kah day kisi ko bhool jana buri baat hay



Mohabbat banddagi hay es main tann ka qurrb mat mango

Mohabbat banddagi hay es main tann ka qurrb mat mango
Kay jis ko choo liya jaye, usay pojaa nahi kartay


Wo anna parast sahi uski baton main ikrar bhi tha

Wo anna parast sahi uski baton main iqraar bhi tha
Uskay chubhtay huway lahjay main chupa piyar bhi tha
Wo mujhay likhta hay k muntazir na rahon lekin
Us ki tehreer main sadiyon ka intizar bhi tha
Wo kehta hay mat rutho kay mananna nahi ata
Meri narazgi pay lekin wo bay qaraar bhi tha


Aye phir na loat kar jo deewanay ho gaye

Humsafar bhi bichar gaye raastay bhi kho gaye
Aye phir na loat kar jo deewanay ho gaye


Roothna khafa rahna ye Wafa nahi hoti

Roothna khafa rahna ye Wafa nahi hoti
Chahton main logon say kiya khata nahi hoti
Sab ko aik jaisa kiun tum samjhne lagte ho
Kiun kay sari duniya to Bbawaffa nahi


Jaaon ga kahan toor kar zanjeer-e-waffa ko

Jaaon ga kahan toor kar zanjeer-e-waffa ko
Har so meri janib hain nigraan teri nighahain



Ye haseen mossam

Ye haseen mossam , ye barish, ye hawaain
Lagta hay mohabbat nay aj kisi ka sath diya ha


Teri yaadon ki barish barasti hay mujh par jab bhi

Teri yaadon ki barish barasti hay mujh par jab bhi
Main bheeg zaroor jati hon magar palkon ki hadd tak



Ye mera hosla hay teray baghair

Ye mera hosla hay teray baghair
Saans leta hon baat karta hoon



Hazaar Chehron main uski mushahbatain mili mujhko

Hazaar Chehron main uski mushahbatain mili mujhko
Par dill ki zidd thi agar wo nahin to us jaisa bhi nahi


Rao gay bhohat hum say bicharr kay maan lo

Rao gay bhohat hum say bicharr kay maan lo
Ye chahat kay sajday hain qazza soch kay karna


Sabbar Kar janna bhool jaaun ga tujhay

Sabbar Kar janna bhool jaaun ga tujhay
Ragh ragh main basi hay tu, thora wakt to lagay ga


Na janay aj kiun bhohat udaas hay mera dill

Na janay aj kiun bhohat udaas hay mera dill
Lagta hay humay bhool janay ka erada hay kisi ka


Kron na yaad magar kis trah bhulaaon usay

Kron na yaad magar kis trah bhulaaon usay
Ghazal bahanna kron our gungunaon usay


Hina ka rang hon main hath par to aaounga

Hina ka rang hon main hath par to aaounga
Utar gaya to mahak apni chor jaon gaa 
Ghazal ka shair hon dill ki kitaab main likh lo
Bhula diya to kabhi Yaad bhi na aaon gaa


Kbhi kbhi kay tassawar say jee nahi bharta

Kbhi kbhi kay tassawar say jee nahi bharta
Meray khayaalon main aao to baar baar aao


Meray labb us kay taqqaduss main hiltay hi nahi

Meray labb us kay taqqaduss main hiltay hi nahi
Usay kaho meri ankhon main ezhar-e-mohabbat deikhay


Ye dard ki tanhayiaan, ye dasht ka veeran safar

Ye dard ki tanhayiaan, ye dasht ka veeran safar
Hum log to ukhta gaye, apni sunna awaargi



Hanstay huway chehron ko ghamon say azaad na samjho

Hanstay huway chehron ko ghamon say azaad na samjho
Hazaron gham chupay hotay hain halki si muskan main



Bhohat nazdeek say faraib day gaya koi

Meray honton ko hansi day kar meray ansuon ko ponch kar
Bhohat nazdeek say faraib day gaya koi


Deewanon ko phir us say hay Omeed Wafa ki

Deewanon ko phir us say hay Omeed Wafa ki
Deewanon nay phir rait pay tahreer likhi hay



Monday, 24 March 2014

Tumhari baat lambi hay dalilain hain bahanain hain

Tumhari baat lambi hay dalilain hain bahanain hain
Hamari baat sirf itni hay hamari zindagi tum ho



Sunday, 23 March 2014

Hairaan ho jao gay apni kismat par

Kash kay tum samajh jao meray mohabbat ki intiha ko
Hairaan ho jao gay apni kismat par 


Teray hathoon ki Hina sadda mahaktti rahay

Teray hathoon ki Hina sadda mahaktti rahay
Tu jahan bhi rahay KHUDA ki panaah main rahay


Ho gai ap kay parday pay haya bhi qurbaan

Ho gai ap kay parday pay haya bhi qurbaan
Parda dari bhi hay our Dawwat-e-Deedar bhi hay



Mohabbaton ki saza Be misaal day us nay

Mohabbaton ki saza Be misaal day us nay
Udaas rahnay ki addat si daal di us nay


Chor diya hum nay aitbaar

Chor diya hum nay aitbaar qismat ki lakeeron pay wasi
Jo dillon main bas jain wo lakeeron main nahi mila kartay


Jo piyaar kartay hy wo naffrat nahi kartay

Jo piyaar kartay hain wo naffrat nahi kartay
Humay to mohabbat hay tum nafrat karo ya mohabbt


Misal-e-Sheesha hain sambhal kay rakhna

Misal-e-Sheesha hain sambhal kay rakhna
Tery hath say chutay to bikhar jain gay



Milay uljhanon say fursat to zara dill say poch lena

Milay uljhanon say fursat to zara dill say poch lena 
Kia dosti yahi hay sirf furssaton main yaad karna


Ye haseen mosam ye barish ye hawaain

Ye haseen mosam ye barish ye hawaain
Lagta hay mohabbat nay aj kisi ka sath diya hay


Aik saal our beet gaya usay dhondty usay khoojtay

Aik saal our beet gaya usay dhondty usay khoojtay
Aye Zindagi aik ahsaan kar, meray humsafar ka patta batta





Hum mitt jain gain aye Arzay-e-Wattan lakin tum ko

Hum mitt jain gain aye Arzay-e-Wattan lakin tum ko
Zindaa rahna hay qayammat ki saher honay tak
23 March Resolution Day





Saturday, 22 March 2014

23 March Resolution Day



Mera dill teri mohabbat ka hay jaan bhakhs diyaar

Mera dill teri mohabbat ka hay jaan bhakhs diyaar
Mera seena teri hurmat ka hay sangeen hisaar
Meray mahboob wattan tujh pay agar jaan ho nisaar
Main ye samjho ga thikanay laga Sarmaya-e-Tann
23 March Resolution Day


Ek tamanna thi jo hasrat ban gai

Ek tamanna thi jo hasrat ban gai
Kabhi dosti thi ab mohabbat ban gai
Kuch is terha shamil huway tum zindagi main
Kay Tujh ko sochtay rehna meri addat ban gai


Kitabain ishq ki parh kar na samjho khud ko ashiq tum

Kitabain ishq ki parh kar na samjho khud ko ashiq tum
Ye dill ka kaam dill walon ko karnay do to acha hay


Maloom nahi meray dill ko

Maloom nahi meray dill ko tum say kitni mohabbat hay
Na hi tm bin jenay ka tassawar karta hay or na hi marnay ka sochta ha


Qayammat khaiz ankhain tumhari

Qayammat khaiz ankhain tumhari
Tum akhir khuab kis kay deikhtay ho



Main jab bhi chahon, usay choo kay deikh sakti hon

Main jab bhi chahon, usay choo kay deikh sakti hon
Magar wo shakhs kay lagta hay ab bhi khuab aisa



Rang-e- Hina or wo mousam nahi miltay

Rang-e- Hina or wo mousam nahi miltay
Chaha tha jinhay aaj wo ahal nahi miltay