Saturday, 26 April 2014

Mohabbat hay kay nafrat hay koi itna to samjhaye

Mohabbat hay kay nafrat hay koi itna to samjhaye
Kbhi main dill say larti hon, kbhi dill mujh say larta hay



Yaad rakhtay hain

Yaad rakhtay hain hm aj bhi tmhain pehly ki trah apni duaon my A "Dost"
Kon kahta hay Faslay doston ki yaad mitta detay hain





Friday, 25 April 2014

Dill ki zidd ho tum bas warna

Dill ki zidd ho tum bas warna
In ankhon nay haseen bhohat deikhay hain



Ye raastay kay sathi hain inhain akhir bicharrna hay

Ye raastay kay sathi hain inhain akhir bicharrna hay
Chalo ab ghar chalain saghir bhohat awaargi kar li



Kal raat barasti rahi sawwan ki ghatta bhi

Kal raat barasti rahi sawwan ki ghatta bhi
Our hum bhi teri yaad main dil khol kay roye 



Shaam hotat hi, teri yaad ki pagal khushbu

Shaam hotat hi, teri yaad ki pagal khushbu
Neend ankhon say, sakoon dill say mitta deti hay


Thursday, 24 April 2014

Chorri suna hay azal say zubaan daraaz hay

Chorri suna hay azal say zubaan daraaz hay
Kah dijiye kalaai ko laray na us k saath
For Arisha



Baywafaaon ki mahfil lagay gi aaj

Baywafaaon ki mahfil lagay gi aaj
Wakt par a jana Mahman-e-Khas ho tum


Ab choriye bhi ap meray hussan ka bayaan

Ab choriye bhi ap meray hussan ka bayaan
ALLAH Sharram ati hay Janay bhi dijiye




Wo aayinay ko bhi hairat main daal deta hay

Wo aayinay ko bhi hairat main daal deta hay
Kisi kisi ko KHUDA ye kamaal deta hay



Ankhon main raha dill main utar kar nahi deikha

Ankhon main raha dill main utar kar nahi deikha
Kashti kay musafir nay samanddar nahi deikha


So baar kaha may nay inkar hay mohabbat say

So baar kaha may nay inkar hay mohabbat say
Har baar sadda ayi tum dill say nahi kahtay



Wednesday, 23 April 2014

Apnay dukh ko apnay andar rakh kar bhool jati hain

Apnay dukh ko apnay andar rakh kar bhool jati hain
Bahir say chamaktti hain chorriaan bhi larkian bhi



Tujh ko pannay ki aarzo karna

Tujh ko pannay ki aarzo karna
Andhioun main diya jalana tha



Mat cheen apna naam meray labb say es trah

Mat cheen apna naam meray labb say es trah
Es bay naam zindagi main tera naam hi to hay


Mohabbat main ujarr kar bhi meri addat nahi badli

Haseen ankhon ko parhnay ka ab tak shooq hay mujh ko
Mohabbat main ujarr kar bhi meri addat nahi badli



Meri zindagi tera sath ho

Meri zindagi tera sath ho
Meri zindagi teri baat ho
Jo jhukay nazar tera khuab ho
Jo uthay nazar teri zaat ho
Meray hath main aik phool ho
Our wo phool tera hath ho


Wo mera ho jo ankhon main haya rakhta ho

Wo mera ho jo ankhon main haya rakhta ho
Umar bhar ka sath chalnay ka Azam-e-Waffa rakhta ho
Naaz us kay na uthaaon to shikayat na kray
Gham sah kar bhi hansnay ki adda rakhta ho


Main hoon agar awaara to waja hay hussan tera

Main hoon agar awaara to waja hay hussan tera
Main aisa hargiz na tha teray deedaar say pehlay


Ajeeb si adda or ghazab ki fitrrat hay apni

Ajeeb si adda or ghazab ki fitrrat hay apni
Mohabbat ho ya nafrat bhohat shiddat say kartay hain



Ye sach hay us nay talluq torra to muskuraton kay sath

Ye sach hay us nay talluq torra to muskuraton kay sath
ye bhi sach hay loog kahtay hain ab wo hansa nahi


Tuesday, 22 April 2014

Aye parda nasheen tum ko ye parda mubarak ho

Aye parda nasheen tum ko ye parda mubarak ho
Hum apnay tassawar main tasweer bana lain gain


Un ki na thi khatta hum hi ghalat samjh baithay

Un ki na thi khatta hum hi ghalat samjh baithay
Wo mohabbat say baat kartay thy hum mohabbat hi samjh baithay



Es qaddar hajoom ho teri zindagi main khushion ka

Es qaddar hajoom ho teri zindagi main khushion ka
Kay gham bhi agar guzarna chahay to usay raasta na milay


Mohabbat ye nahi kay tum tarppo

Mohabbat ye nahi kay tum tarppo usay khabar bhi na ho
Mohabbat ye hay tumhra dil dharkay to us kay dil pay qayamat guzray


Faqqat aik ka honay main Hussan-e-Banddagi hay

Faqqat aik ka honay main Hussan-e-Banddagi hay
Jo rooz qibla badaltay hain wo baydeen hotay hain



Sappnon ki dunia main khoye chalay gaye

Sappnon ki dunia main khoye chalay gaye
Hosh main thay phir bhi madhosh hotay chalay gaye
Janay kia baat thi us ajnabi chehray main
Na chahatay huwat bhi usi kay hotay chalay gaye 



Monday, 21 April 2014

Haya say sar jhuka lena

Haya say sar jhuka lena, adda say muskura dena
Haseenon ko bhi kitna sahal hay bijli gira dena


Pocha jo hum nay kay kisi our kay honay lagay ho kia

Pocha jo hum nay kay kisi our kay honay lagay ho kia
Wo muskura kay bola kay pehlay kab tumharay thay hum



Wo badal kitna tanha tha

Wo badal kitna tanha tha
Jo roya sari raat bhohat



Ye tumhara waham hay

Ye tumhara waham hay k tumhay bhool jain gay dost
Wo teray shahar ka pani hay jis main hussan hay wafa nahi


Jo us kay chehray pay Rang-e-Haya thahar jaye

Jo us kay chehray pay Rang-e-Haya thahar jaye
To saans, wakt, samandar, hawa thahar jaye
Wo muskuraye to hans hans parain kai mossam
Wo gungunaye to Baad-e-Sabba thahar jaye



Sunday, 20 April 2014

Jazbaat k khail main mohabbat

Jazbaat k khail main mohabbat ka saboot na mango mujh say
May nay wo anso bhi bahaye hain jo meri ankhon main nahi thay



Har khushi main koi kammi si hay

Har khushi main koi kammi si hay
Hansti ankhon main bhi nammi si hay


Jahan main hotay hain kuch aisay bhi hunnar walay

Jahan main hotay hain kuch aisay bhi hunnar walay
Jo ek nighah main dillon pay raaj kartay hain




Ye laali, Ye Kajal our Zulfain bhi khuli khuli

Ye laali, ye kajal our zulfain bhi khuli khuli
Tum yonhi jaan mang letay, itna ehtamaam kiun kiya


Hum nay deikha tha faqat shokh nazar ki khatir

Hum nay deikha tha faqat shokh nazar ki khatir
Ye na socha tha kay tm dill main utar jao gay


Saans lene say bhi teri yaad ati hay

Saans lene say bhi teri yaad ati hay
Har saans main teri khushbo bass jati hay
Kaisay kahon kay saans say main zinda hon
Jab kay saans say pehlay teri yaad ati hay


Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz
Zalim ab kay bhi na roye ga to mar jaye ga



Usay kahna nazar aa kar

Usay kahna nazar aa kar
Saza ko mukhtassar kar day


Sunday, 13 April 2014

Tujh ko khabbar hoi na zamana samjh saka

Tujh ko khabbar hoi na zamana samjh saka
Hum chupkay chupkay tujh par kai baar mar gaye
 
 

Mere ansoon ko sada de gaya koi

Mere ansoon ko sada de gaya koi
Mujh main apni Yadain chor gaya koi



Itna betaab na ho mujh say bicharrny k liye

Itna betaab na ho mujh say bicharrny k liye
Tujh ko ankhoon say nhi dil se juda krna hay


Teray wadday ki haqiqqat

Teray wadday ki haqiqqat to ayaan hay lakin
Aah wo log jo majboor-e-yakeen hotay hain
Kiun na ek jhooti tassalli pay qannaat kar lain
Loog kahtay hain addam, khuab haseen hotay hain


Sunday, 6 April 2014

Ankhoon main ansoo

Ankhoon main ansoo ajate hain 
Phir bhi laboon pr hansi rkhni parrti hay
Ye mohbbat bhi kia cheez hay yaroo
Jissay chahty hain osi se chupani parrti hay


Teri har ada mohabbat c lagti hay

Teri har ada mohabbat c lagti hay
Ek pal ki judai sadiyo'n c lagti hay
Pehlay nhi socha tha pr ab sochnay laga hoon
Zindagi k har lamhay main teri zarurat c lagti hay


Deedar-E-Yaar Ki Khatir Zinda Hoon

Deedar-E-Yaar Ki Khatir Zinda Hoon Ghalib,,,
Warna Kon Jeeta Hai Is Dunya Main Tamasha Bn Kr


Aj bhi us ka intizaar

Aj bhi us ka intizaar kartay kartay din guzar gaye
Anna parast log hain, marzi say yaad kartay hain


Friday, 4 April 2014

Mehndi teray naam ki

Mehndi teray naam ki hathoon par rachayee hay 
Tasveer bhi teri apne dil main basayee hay
Yaad sirf teri he din raat aayee hay 
Pyar hay bas tujhsay yahi sachayee hay
Shary Ismaeel


Dil ki baat

Dil ki baat kheta hon bura to na mano gay
Barri rahat ka din thay teri pehchan say phalay