Saturday, 31 May 2014

Ek larki sunddar komal si

Ek larki sunddar komal si
Jo khud ko barish kahti hay
Har mossam us ka mosam hay 
Wo mujh pay barsaa karti hay


Ajnabi rahna par kissi ka intizzar mat karna

Ajnabi rahna par kissi ka intizzar mat karna
Kisi kay piyar kay liye khud ko bayqaraar mat krna
Acha sathi mil jaye to hath thaam lena
Par deikhaway kay liye kisi say piyaar mat karna


Kuch our nahi chahat ap kay siwa

Kuch our nahi chahat ap kay siwa
Ap ki arzoo meri ibaaddat ho gayi


Ab bhi Ilzaam-e-Mohabbat hay meray sar par
Ab to banti bhi nahi yaar hamari uski


Friday, 30 May 2014

Yun bhi to raaz khul hi jaye ga

Yun bhi to raaz khul hi jaye ga ek din hamari mohabbat ka
Mehfil main jo hum ko chor kar sab ko salam kartay ho



May nay izhaar to kiya hi nahi

May nay izhaar to kiya hi nahi
Us nay ankhon ko parh liya hoga



Tu deikh ya na deikh

Tu deikh ya na deikh, teray deikhnay ka gham nahi
Par teri ye na deikhnay ki adda deikhnay say kam nahi


Our to kuch nahi kiya teray baad hum nay

Our to kuch nahi kiya teray baad hum nay
Han faqat apna haal tabah kar rakha hay


Ek pal main jo barbaad kar detay hain

Ek pal main jo barbaad kar detay hain dill ki basti ko Faraz
Wo log deikhnay main aksar masoom hotay hain


Thursday, 29 May 2014

Rukh say hata kay zulfain

Rukh say hata kay zulfain ankhain utha kay bolay
Deikho hamaray jalway ab zara shaiyri karo


Na janay es zidd ka kia natijaa hoga

Na janay es zidd ka kia natijaa hoga
Samjhta dill bhi nahi wo bhi nahi main bhi nahi 


Itnay nakhray nahi deikhay jatay

Itnay nakhray nahi deikhay jatay
Bhar main jaye mohabbat teri



Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main
kay teray bin sabhi khushiyan mujhay ghamgeen lagti hain


Bas jatay hain dill main

Bas jatay hain dill main ejaazzat liye baghair
Wo log jinay hum zindagi bhar paa nahi saktay



Wednesday, 28 May 2014

Bas shukriya kahna tha es nazar-e-karam ka piyaray

Bas shukriya kahna tha es nazar-e-karam ka piyaray
Khuab main milay ho our kia khoob milay ho



Bacha kay rakha hay khud ko teri khatir

Bacha kay rakha hay khud ko teri khatir
Koi piyaar say deikhay to bura lagta hay



Lamhon main qaid kar day

Lamhon main qaid kar day jo saddioun ki chahatain
Hasrat rahi kay apna bhi koi aisa bhi talab gar ho


Maghroor humay kahti hay

Maghroor humay kahti hay to kahti rehay dunia
Hum morr kar kisi shakhs ko deikha nahi kartay


Ankhon main basi hay piyaari soorat teri

Ankhon main basi hay piyaari soorat teri
Our dill main basa hay tera piyaar
Chahay tu kabool karay ya na karay
Humay rehay ga tera intizaar


Tuesday, 27 May 2014

Shab-e-Mairaaj Mubarak To All

Shab-e-Mairaaj Mubarak To All


Sunday, 25 May 2014

Jo ho ejaazzat to tum say ek baat pochon

Jo ho ejaazzat to tum say ek baat pochon
Jo hum say ishq seekha tha wo ab kis say kartay ho


Na our ab justuju mujh ko

Na our ab justuju mujh ko
Bas ek kafi hay tu mujh ko



Taaron ka go shumaar main ana mahal hay

Taaron ka go shumaar main ana mahal hay
Lakin kisi ko neend na aye to kia karay?


Wohi sochain wohi batain wohi andaaz ab bhi hay

Wohi sochain wohi batain wohi andaaz ab bhi hay
Boht baychain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay uski yaadon or waadon say nigah phairon
Wo mujh say dor rehnay wala mera hamraaz ab bhi hay
Ye tum ho jo is taalluq par pareshaan ho
Magar is baylous rishtay pay mujhay to naaz ab bhi hay



Andaaz apna deikhtay hain aayinay main wo

Andaaz apna deikhtay hain aayinay main wo
Zulfain sanwaar kay kbhi zulfain bakhair kay


Saturday, 24 May 2014

Tumhara zikkar jahan tak hay

Tumhara zikkar jahan tak hay wo haqiqat hay
Phir us kay baad hum nay jo bhi kaha, fasana hay


Tujh ko ata hi nahi meri mohabbat ka yaqeen

Tujh ko ata hi nahi meri mohabbat ka yaqeen
Kab say ye hath teri simtt barha rakha hay
Dill ki ghati main dabay paoun utar jati hain
Teri ankhon nay to deewana bana rakha hay


Chala gaya to kabhi...

Chala gaya to kabhi...loat kar na aaounga
Tum es qadar na satao bhohat udaas hon main


Band mutthi say girti rait ki mannind

Band mutthi say girti rait ki mannind
Wo Chala gaya zindagi say zara zara kar kay


Friday, 23 May 2014

Tumhara naam lenay say

Tumhara naam lenay say mujhay sab jaan jatay hain
Main wo khoyi hoi cheez hon jis ka pata tum ho


Mera kia haal hay teray bina

Mera kia haal hay teray bina kabhi deikh to lay
Jee raha hoon tera bhoola huwa wada ban kar


Meri manzil, meri hadd

Meri manzil, meri hadd 
Bas tum say, tum tak


Hum Ishq kay us muqaam par kharay hain

Hum Ishq kay us muqaam par kharay hain
Jahan dill kisi our ko chahay to gunnah lagta hay


Kitnay nazzuk mizaaj hain wo kuch na pochiye

Kitnay nazzuk mizaaj hain wo kuch na pochiye
Neend nahi ati inhain dharkan kay shoor say


Un k Andaz-e-Karam,us pay wo ana dil ka

Un k Andaz-e-Karam,us pay wo ana dil ka
Haye wo waqt, wo batain, wo zamana dil ka
Na suna usnay tawajjo say fasana dil ka
Umar guzri par dard na jana dill ka
Dill lagi, dill ki lagi ban k mita deti ha
Rog dushman ko bi ya RAB na lagana dill ka
Wo bi apne na howy dil bi gaya hathon say
Asay apnay say to behtar tha na aana dil ka
Unki mehfil main "Parveen" un k tabassum ki Qasam
Hum dekhtay rah gaye hath say jana dil ka



Khawab dar khawab dhoondti hay nazar

Khawab dar khawab dhoondti hay nazar
Kia tujhay such main kho diya may nay


Chor ye baat milay zakham mujhay kahan say
Aye zindagi itna bta kitna safar baqi hay



Kia koi nai baat nazar ayi hay hum main

Kia koi nai baat nazar ayi hay hum main
Aayina humay deikh kar hairan saa kiun hay



Intizar bhi kisi ka kitna zaalim hota ha tanha

Intizar bhi kisi ka kitna zaalim hota ha tanha
Jagaaye to sari raat, rulaaye to saari umer


Tuesday, 20 May 2014

Uthnay do aj pardon ko zara hum bhi to deikhain

Uthnay do aj pardon ko zara hum bhi to deikhain
Kon saa chaand chupa hay es naqaab kay pichay



Wo jin main chamaktay thay wafa kay moti

Wo jin main chamaktay thay wafa kay moti
Yaqeen jano wo ankhain baywafa nikli


Badaltay mossam pay omeedain

Badaltay mossam pay omeedain na bandhna saaghar
Din barishon kay bary mukhtassar say hotay hain


Tujhay kia khabar kay teri yaadon nay

Tujhay kia khabar kay teri yaadon nay mujhay kis trah sataya
Kbhi akelay main hansa diya to kbhi mahfilon main rula diya



Ab kia likhain hum kagaaz par

Ab kia likhain hum kagaaz par
Ab likhnay ko kia baqi hay
Ek dill tha Wo bhi toot gaya
Ab Tootnay ko kiya baqi hay
Ek shakhs ko hum nay chaha tha
Ek rait pay naqsh banaya tha
Wo rait to kab ki bikhar gayi
Wo naqsh kahan ab baqi hay
Hum jinko apni nazmon ka
Unwan banaya kartay Thay
Lafzon ka bana kay taj mehal
Kaghaz pay sajaya kartay thay
Wo hum ko akela chor gaya
Sab rishton say mon mor gaya
Ab raastay saray ....


Ye barish ye sard hawa ye hijar ka alam

Ye barish ye sard hawa ye hijar ka alam
Guman hota hay es bar December maar hi dalay ga


Monday, 19 May 2014

Main us shakhs ko kaisay manaoun faraz

Main us shakhs ko kaisay manaoun faraz
Jo mujh sat rotha hay meri mohabbat kay sabbab



Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi
Nazrain mili tum say phoolon ki barsaat ho gayi
Dharkan toh jaisay sargam ki taal ho gayi
Sappnon ki dharti khushiuon ka sansaar ho gayi
Chahat ki moujon main zindagi sawar ho gayi
Aaye piyaar main tofaan koi nazar teri patwaar ho gayi
Chana nan baaji payaliya yeh ras ki phuhaar ho gayi
Mathay ki bindiya sajan ka shringaar ho gayi


Bhohat nazar andaaz karnay lagay ho mujhay

Bhohat nazar andaaz karnay lagay ho mujhay
Baaz a jao warna inhi nazron say dhontay rah jao gay


Ek ye khuahish kay koi zakham na deikhay dill ka

Ek ye khuahish kay koi zakham na deikhay dill ka
Ek ye hasrat kay koi deikhnay wala hota


Teri yaad ki baraf bari ka mossam

Teri yaad ki baraf bari ka mossam
Sulaggta raha dill kay andar akelay
Eraada tha jee lon ga tujh say bichar kar
Guzarta nahi aik December akalay