Wednesday, 18 June 2014

Na janay kiun adhoori si rah gayi

Na janay kiun adhoori si rah gayi hay zindagi meri
Lagta hay jaisay khud ko kisi kay paas bhool aya hon


Qayammat khaiz hain ankhain tumhari

Qayammat khaiz hain ankhain tumhari
Tum akhir khawab kis kay deikhti ho 



Har shakhs ki tanhai ko

Har shakhs ki tanhai ko door kia hum nay
Phir bhi har morr par khud ko tanha paya



Monday, 16 June 2014

Achi surrat ko sanwarnay ki

Achi surrat ko sanwarnay ki zarorat kiya hay
Saadgi bhi to qayammat ki adda hoti hay


Bassat-e-Dill pay ajab hay shikasta-e-zaat ka lutf

Bassat-e-Dill pay ajab hay shikasta-e-zaat ka lutf
Jahan pay jeet attal ho wo baazi haar kar daikho


Aj humay barish ka pehla qatra bunna hay

Aj humay barish ka pehla qatra bunna hay 
Tum kuch dair rukk jao abbar honay tak


Tera qasoor nahi mujhay ghussa hay

Tera qasoor nahi mujhay ghussa hay apnay hi dil pay
Nahi dekhi oqaat apni, or bas samma liya tujhay khud main



Sunday, 15 June 2014

Shaam hotay hi yeh dill udaas hota hay

Shaam hotay hi yeh dill udaas hota hay
Tutay khuwabon kay siwa kuch na pas hota hay
Teri yaad aisay main bhohat ati hay
Chaand jab apnay sitaron kay paas hota hay


Ess liye ishq ki baazi hum haar gaye

Dillon say khailnay ka hunnar humay ataa nahi
Ess liye ishq ki baazi hum haar gaye



Ek baar nahi yeh dill so baar hay toota

Ek baar nahi yeh dill so baar hay toota
Par shouq mohabbat ka ab tak na choota



Ek chand tanha khara raha

Ek chand tanha khara raha
Meray asmaan say zara paray
Meray sath sath safar main tha
Meri manzilon say zara paray
Teri jusstuju kay hisaar say
Teray khawab teray khayal say
Mein Wo shaks tha jo khara raha
Teri chahaton say zara paray



Chalakta hay saggar piyaar ka ankhon say

Chalakta hay saggar piyaar ka ankhon say
Dill hamara khushi say ubharta hay
Na Jaanay kiya baat hoti hay piyaar main
Hota Hay dill main dard or ankhon main eshara hota hay


Aaj phir teri yaad nay cheen liya hosh-o-hawas

Aaj phir teri yaad nay cheen liya hosh-o-hawas
Fanna ho jain gay hum agar yun hi silsila raha



Ya to saanson say jorr day mujh ko

Ya to saanson say jorr day mujh ko
Ya to bilkul hi chor day mujh ko
Mujh ko pathar bana kay wo shesha
Mujh say kahta hay torr day mujh ko


Dosti Zindagi

Dosti Zindagi...


Saturday, 14 June 2014

Zabbt kahta hay khamoshi say bassar ho jaye

Zabbt kahta hay khamoshi say bassar ho jaye
Dard ki zidd hay sab ko khabar ho jaye



Rothi thi jis gharoor say

Rothi thi jis gharoor say wo bhi to yaad kar
Ankhon main teri aj ye anso fazool hain



Lov3 Is Always Lif3

Lov3 Is Always Lif3


Suna hay rait par chal kar tum aksar muskuratay ho

Suna hay rait par chal kar tum aksar muskuratay ho
Kaho to ab ki baar main zameen ki dhool ban jaon


Friday, 13 June 2014

Quatt-e-Ishq say har passt ko baala kar day

Quatt-e-Ishq say har passt ko baala kar day
Dohar main Essm-e-Muhammad say ujala kar day
Shab-e-Baraat Mubarak To All


Wednesday, 11 June 2014

Kisi din baitha kay pochain gain

Kisi din baitha kay pochain gain teri ankhon say
Kis nay seekhaya hay inhay har dill main utar jana


Hum bhi mojood thay taqdeer kay darwazay par

Hum bhi mojood thay taqdeer kay darwazay par
Logon nay dollat ki tamanna ki hum nay tumhay mang liya


Tuesday, 10 June 2014

Un ki palkon say hoi hay shuro ye daastan-e-mohabbat

Un ki palkon say hoi hay shuro ye daastan-e-mohabbat
Jin ka jhukna bhi qayammat, our uthna bhi qayammat


Kassam kha chuka hon

Kassam kha chuka hon tujh ko na chornay ki warnna
Mahsoos kab say ho rahi hay teri bayrukhi musalsal


Kabhi jo badal barsay

Kabhi jo badal barsay,main deikhon tujhay ankhain bhar kay
Tu lagay mujhay pehli barish ki dua
Teray pehlo main rah lon, main khud ko pagal kah lon
Tu gham day ya khushian sah lon saathiya


Badal jao bhalay tum

Badal jao bhalay tum, magar ye zahan main rakhna
Kahiin pachtawa na ban jaye, hum say bayrukhi itni 


Tujhay mofft main jo mil gaye hain hum

Tujhay mofft main jo mil gaye hain hum
Tu qadar na kar tera haq banta hay


Monday, 9 June 2014

KHUDA ki kasam mohabbat nahi

KHUDA ki kasam  mohabbat nahi aqiddat hay tum say 
Diyar-e-dill main bhohat ahtraam hay tumhara



Kuch es trah adda say wo haar gaya baazi

Kuch es trah adda say wo haar gaya baazi
Main jeet gaya, par jeet na saka



Afsos hota hay teray badal janay ka

Afsos hota hay teray badal janay ka magar
Teri kuch baaton nay mujhay jeena seekha diya



Ye zabbt choot gaya to tumhari yaad ayi

Ye zabbt choot gaya to tumhari yaad ayi
Main thak kay toot gaya to tumhari yaad ayi
Tumhary baad na tha koi mera dill kay siwa
Ye dill bhi roth gaya to tumhari yaad ayi



Sunday, 8 June 2014

Kuch bhi ho main elzaam tumhay hi don ga

Kuch bhi ho main elzaam tumhay hi don ga
Tum masoom bhohat ho magar toba tumhari ankhain



Kuch haar gai taqdeer

Kuch haar gai taqdeer, kuch toot gaye sapnay
Kuch ghairon nay kia barbaad, kuch chor gaye apnay



Wo mera ho kar bhi mujh say mahroom raha

Wo mera ho kar bhi mujh say mahroom raha
Kia koi meri trah jeet kay haara hoga



Friday, 6 June 2014

Ess hussan ka shevaa hay jab ishq nazar aye

Ess hussan ka shevaa hay jab ishq nazar aye
Parday main chalay jana sharmaaye rahna


Humay tashheer ki khuahish nahi

Humay tashheer ki khuahish nahi bas roshni ki hay
Kisi ko mat btana ye diye hum nay jalaaye hain


Nahi hay hosla mujh main

Nahi hay hosla mujh main tumhay khonay ka par sun lo
Ye dunia mujh ko kho day gi agar tum kho gaye mujh say



Jab tujhay meri chaah thi janaan

Jab tujhay meri chaah thi janaan
Bas wohi wakt tha karra mera


Kia kashish thi us ki ankhoon main

Kia kashish thi us ki ankhoon main mat pochoo
Mujh say mera dill lar para mujhay wohi shakhs chahiye


Meri deewangi pay es qadar hairaan hotay ho

Meri deewangi pay es qadar hairaan hotay ho
Mera nuqsaan to deikho, mohabbat gumshuda meri


Ye tum say kah diya kis nay

Ye tum say kah diya kis nay, kay baazi haar baithay hum
Mohabbat main lutanay ko abhi to jaan baqi hay



Himmat-e-eltija nahi baqi

Himmat-e-eltija nahi baqi
Zabt ka hosla nahi baqi
Ek teri deed chin gai mujh say
Warna dunia main kia nahi baki
Apnay mashq-e-sitam say hath na khainch
Main nahi ya wafa nahi baki


Mohabbat Say enayat say

Mohabbat Say enayat say Wafa say chot lagti hay
Bikharta phool hon mujh ko hawa say chot lagti hay
Main shabnum ki zubaan say phool ki awaaz sunta hon
Ajab ahsaas hay apni sadda say chot lagti hay
Tujhay khud apni majbori ka andaza nahi shayad
Na kar ahad-e-Wafa, ahad-e-Wafa say chot lagti hay
Meri ankhon main anso ki tarha ek baar a jao
Takalluf say banawwat say adda say chot lagti hay



Thursday, 5 June 2014

Wo ayain to hairaan wo jain to preshaan

Wo ayain to hairaan wo jain to preshaan
Ya RABB koi samjhaye ye kia ho gaya dill ko



Shararat lay kar ankhon main

Shararat lay kar ankhon main wo us ka deikhna toba
Main nazron pay jami nazrain, jhukana bhool jata hon


Kon chahay ga itni shiddat say tujhay

Kon chahay ga itni shiddat say tujhay
Ye main hon jo sirf tujhay chahti hon



Dill bhool nahi sakta tumhay

Dill bhool nahi sakta tumhay
Dharkanon ki zarorat ho tum
Tum say hay meri dunia haseen
Meri pehli mohabbat ho tum 


Wednesday, 4 June 2014

Awaara hay tareek fizzaoun main

Awaara hay tareek fizzaoun main azal say
Ye chaand bhi hum ishq kay maron ki trah hay



Pas aoo, ek eltijaa sun lo

Pas aoo, ek eltijaa sun lo
Piyaar hay tum say bay panah sun lo
Aik tum ko KHUDA say manga hay
Jab bhi mangi koi dua sun lo
Ibtidda ishq ki hoi tum say
Tum ho chahat ki inteha sun lo
Bin tere jee nahi sakunga main
Laut aao, meri sadaa sun lo
Daikh lo zindagi adhuri hay
Na raho our ab judaa sun lo
Tum ho sirf tum ho zindagi meri
Such hay such hay bakhuda sun lo
"WASI" koi nahi mera apna
Tum raho gay meray sadda sun lo