Tuesday, 27 January 2015

Tumhari yaad ka ab tak khumaar baaqi hay

Tumhari yaad ka ab tak khumaar baaqi hay
Hamaray dill pay tumhara hisaar baaqi hay


Umer bhar chaltay rehay ankhon pay

Umer bhar chaltay rehay ankhon pay patti bandh kar
Zindagi ko dhondhnay main zindagi barbaad ki



Tum tu rah logay sath kisi or kay

Tum tu rah logay sath kisi or kay magar
Main kiya kron kay mujh ko rasta badlna nahi ata
Tum tu khush rah logay meray binna
Deikho tumharay bina mujh ko tu jeena bhi nahi ata


Aayinay bhi tumhain tumhari khabar

Aayinay bhi tumhain tumhari khabar na day sakain gain
Aao deikho meri nigahon main kitnay haseen ho tum


Usay kaho kay wo apni masrofiyyat

Usay kaho kay wo apni masrofiyyat kam kar day
Sunna hay bicharnay ki ye pehli nishani hoti hay



Acha lagta hay mera naam

Acha lagta hay mera naam teray naam k saath
Juri ho koi subah jaisay haseen sham k saath


Saturday, 24 January 2015

Meray lafzon say nikal jaye assar

Meray lafzon say nikal jaye assar
Agar koi khuwayish jo teray baad karon


Friday, 23 January 2015

Wo mujh say door rah kar khush ha

Wo mujh say door rah kar khush ha to rahnay do usay
Mujhay chahat say zada us ki muskurahat pasand hay


Tassawar main chalay aao

Tassawar main chalay aao, zara deedar kar lain
Tamanna tum say milnay ki to pori ho nahi sakti



Wo samjhta nahi shayad waffa ki zabaan

Wo samjhta nahi shayad waffa ki zabaan
Humay hona paray ga bay wafa usay panay k liye