Tuesday, 26 May 2015

Muddatt kay baad

Muddatt kay baad haal poch kar
Us bay wafa nay phir wohi haal kar diya


Muskurahat un ki aisi haaye

Muskurahat un ki aisi haaye, kay qabu na kar paye hum
Haath say jana dill ka, rooh ka ho jana un ka



Itnay dinn ab Eid ka intezar

Itnay dinn ab Eid ka intezar kon karay
Galay lag jao na ab kisi bahanay say



Jo fursat milay

Jo fursat milay to chaand say mere dard ki kahani poch lena
Aik wohi to tha humraaz mera teray so janay k baad


Samaj nahi ati Mohabbat

Samaj nahi ati Mohabbat ki kahani kiya hay
Sajda KHUDA Ko kar kay maangtay insaan ko hay


Friday, 22 May 2015

Auron ki khatir

Auron ki khatir baddal gaye ho tum
Ab tum bhi mahsos karo gay badalna mera


Thursday, 21 May 2015

Warq Warq par teri ibaddat

Warq Warq par teri ibaddat, tera fasanna,teri hikayyat
Kitab-e-Ishq jahan say kholi teri mohabbat ka baab nikla


Kbhi tu tm hogay akelay

Kbhi tu tm hogay akelay, kbhi tu mera ahsaas hoga
Kbhi tu main yaad aounga kbhi tu mujh say piyaar hoga



Ruk hi jati hay nazar

Ruk hi jati hay nazar had-e-nazar tak lekin
Dil tu kahta hay jahan tum ho Wahan tak deikhon


Button say pardah

Button say pardah uthanay ki bahas hay baykaar
Khuli daleel hay Kaaba bhi bay naqaab nahi



Tumhara sath tasalsul say chahiye

Tumhara sath tasalsul say chahiye mujh ko
Thakan zamanon ki lamhon main kab nikalti hay


Itna ghafil to andhion say

Itna ghafil to andhion say koi ragistaan bhi na hoga
Jitna ghafil aj ka insaan apnay Rabb ki yaad say hay